Saturday 12 March 2011

Poetry Dosti

Mere dushman tu meri dosti ko tarse

Mere dushman tu meri dosti ko tarse,
muje gam denewale tu khushi ko tarse.

Tu phul bane patjad ka tuj pe bahar na aaye kabhi,
meri hi tu tadpe tujko karar na aaye kabhi.

Jiye tu is terh ke zindgi ko tarse.
mere dushman tu meri dosti ko tarse.

Itna to asar kar jaye meri wafaon o bewafa,
ek roz tuje yaad aye apni zaffanon o bewafa.

pashemaaon ke roye tun hansi ko tarse,
mere dushman tu meri dosti ko tarse.

Tere gulshan se jyada viran koi viranaa na ho,
is duniya me koi tera apna to ho kya begana na ho.

Kisi ka pyar kya tu berukhi ko tarse,
mere dushman tu meri dosti ko tarse.

11:24 AM

muhabbaton mein dikhaave kii dostii na milaa

Posted by pinky |
muhabbaton mein dikhaave kii dostii na milaa
agar gale nahiin milataa to haath bhii na milaa


gharon pe naam the naamon ke saath ohade the
bahut talaash kiyaa koii aadamii na milaa


tamaam rishton ko main ghar pe chhor aayaa thaa
phir isake baad mujhe koii ajanabii na milaa


bahut ajiib hai ye qurbaton kii duurii bhii
vo mere saath rahaa aur mujhe kabhii na milaa


Khudaa kii itanii barii qaayanaat mein main ne
bas ek ShaKhs ko maangaa mujhe vo hii na milaa


Dosti kia hay?

Kia khabar tum ko dosti kia hai
Ye roshni bhi hai andhera bhi hai
Khwahishon say bhara jazeera bhi hai
Bohat anmol ik heera bhi hai
Dosti ik haseen khwab bhi hai
Pass say dekho tou sarab bhi hai
Dukh milnay pe ye azab bhi hai
Aur ye piyar ka jawaz bhi hai
Dosti yoon tou maya jaal bhi hai
Ik haqeeqat bhi hai khayal bhi hai
Kabhi furqat kabhi vissal bhi hai
Kabhi zameen kabhi falak bhi hai
Dosti jhoot bhi hai such bhi hai
Dil main reh jaiay tou kassuk bhi hai
Kabhi ye haar kabhi jeet bhi hai
Dosti saaz bhi sangeet bhi hai
Sheir bhi nazam bhi geet bhi hai
Wafa kia hai wafa bhi dosti hai
Dil say nikli dua bhi dosti hai
Bus itna samajh lay tou
Piyar ki inteha bhi dosti hai

No comments:

Post a Comment