Sunday 13 March 2011

Poetry Raat

Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se,

Kaati Hai GaM Ki Raat Bade EhtraaM Se,
Aksar Bujha Liya Hai Charagon Ko ShaaM Se,

Roshan Hai Apni BazM Aur Isse EthaMaM Se,
Kuch Dil Bhi Jal Rahe Hai Charagon Ke NaaM Se,

Muddat Hui Hai Khoon-E-TaManna Kiye Magar,
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahoo Dilke JaaM Se,

Subah-E-Bahar HuMko Bulati Rahi Magar,
HuM Khelte Rahe Kisi DaMakti ShaaM Se,

Har Saans Par Hai Maut Ka Pehra Laga Hua,
Ahista Aye Hayat Guzar Is MukaaM Se,

Kati TaMaM UMr Fareb-E-Bahar Mein,
Kante SaMette Rahe Phoolon Ke NaaM Se,

Ye Aur Baat Hai Ke HuM Na Sun Sake,
Awaz Usne Di Hai HaMein Har MukaaM Se...


6:05 AM

Raaton Mein Agar Na AshQ Bahaun To Kya Karun

Posted by pinky |

Raaton Mein Agar Na AshQ Bahaun To Kya Karun,
Ek Pal Bhi Usko Bhool Na Paaun To Kya Karun,

Maine Suna Hai Unko Andhere Nahi Pasand,
Raahon Mein Ab Main Dil Na Jalaun To Kya Karun,

TuM Hi Kaho Chhod De Jab Zindagi Bhi Saath,
Phir Maut Ko Gale Na Lagaun To Kya Karun,

Socha Tha Ke Chhod Dun Unki Gali,
Lekin Kahin Qaraar Na Paaun To Kya Karun...
11:22 AM

Kyon Neend Nahi Aati

Posted by Lubna |
Kyon Neend Nahi Aati,
Kyon Chain Nahi Padta,
Kyon Raat Nahi Katti,
Kuch Baat Nahi Banti,

Tanhayi Ye Dasti Hai,
Ek Aag Bhadakti Hai,
Apna Hi Nahi Koi,
Jo Baat Kare HuMse,

Sab Neend Karein Aur HuM,
Jalte Hi Rahein Tanha,
Kis Kisko Batayein HuM,
Kaise Ye Guzari Hai,

Tanhayi Ke AlaM Mein,
Har Raat Hi Bhaari Hai,
Sab Chain Se Sote Hai,
HuM Raat Ko Jalte Hai...
10:48 AM

Aaj Phir ShaaM Dhale

Posted by Lubna |

Aaj Phir ShaaM Dhale,

Phir Wohi Dard Sa Jaga Hai Raahon Mein,

Phir Wohi Aah Si Nikli Hai Mere Seene Se,

Phir Wohi Khwaab Se Toote Hai Meri Aankhon Mein,

Phir Wohi Dard Ki Talkhi Hai Meri Baaton Mein,

Phir Wohi AshQ Se Thehre Hai Meri Palkon Par,

Phir Wohi Raat Si Jeevan Mein Utar Aayi Hai,

Phir Wohi Aakhri Manzar Hai Meri Aankhon Mein,

Aaj Phir ShaaM Dhale Mujhe TuM Yaad Aaye Ho...
11:21 AM

Karti hun akar raat me main

Posted by pinky |
Karti hun akar raat me main

In chand or taron se main teri hi baate

Machal kar jhum jati haun jab

Teri yadon me main kho jati hun

3:32 AM

Shaam e Gham Ki Qasam

Posted by Lubna |
Shaam e Gham Ki Qasam

Aaj GhamgEen Hain Hum
Aa Bhe Jaa Aa Bhe ja Aaj Meray Sanam
Dil PreShan Hai Raat Veeraan Hai
Dekh Ja Kis Trah Aaj tAnhA Hain Hum

Shaam e Gham Kii Qasam

Khail Kaisa Jo PehlOo Mein tOo Hi Nahien
Maar Dalay Na dArd e jUdaii Kahien
Rut HaSEen Hai To Ko Kya Chandni Hai To Kya
Chandhi Zulam Hai Or jUdaii Sitam

Shaam e Gham Ki Qasam

Ab To Aaja K Ab Raat Bhe So Gaii
Zindgi Gham K Sehraon Mein Kho Gaii
DhOondhatii Hai Nazar tOo Khaan Hai Magar
Dekhtay Dekhtay Aaya AankhOn Mein Nam
Shaam e Gham Ki Qasam
10:57 AM

Ho raat akeli pichle pehr

Posted by Lubna |
Ho raat akeli pichle pehr
Or chand gagan pe aa jaye
Tum chand ki manind tanha ho
Ye baat tumhein tarpa jaye
Kuch khawab saja k palko pe
Tum chand se batein ker lena
Hum yaad tumhein to kerte hain
Tum yaad humein b ker lena
Kuch baat na ho jab aise hi
Num aankh tumhari ho jaye
Tum baat kahein pe kerte ho
Dil or kahein pe kho jaye
Jazbat k aise aalam mein
Muskan labo pe bhar lena
Hum yad tumhein to karte hain
Tum yad humein b ker lena…
10:55 AM

TUM BOHAT YAD AATAY HO

Posted by Lubna |
“TUM BOHAT YAD AATAY HO”

Jab shaam k saye dhaltay hain,

Jab souraj doobne lagta hai,

Jab neely neely ambar pay,

Ek laali c chha jati hai,

Jab sard hawa k jhonko say,

Dil moam sa pighla jata hai

Us waqt ka aalam mat poochho
TUM YAD KITNA AATAY Ho.
10:32 AM

Khud Se bhi Piyar Tumhare Liye Kya

Posted by Lubna |
Khud Se bhi Piyar Tumhare Liye Kya,
Raaton Ko Intezaar Tumhare Liye Kya!
.
Tum Laut Kar Na Aye Kisi Shaam Ko Magar,
Har Shaam Intezaar Tumhare Liye Kya!
.
Ye jan kar bhi k Duniya kisi ki nahi hoti,
Duniya pe Aitebar Tumhare Liye kya!
.
Jo Dil kisi k waste Roya na tha kabhi
Us Dil ko BeQarar Tumhare Liye kya!
10:03 AM

Kitni mushkil sy kati kal ki meri raat na pooch

Posted by pinky |

Kitni mushkil sy kati kal ki meri raat na pooch,
Dil sy nikli hui honton main dabi baat na pooch,

Wo kis adaa sy merey samney sy guzraa abhi,
Kis tarah main ny sambhaley merey jazbaat na pooch,

Waqat jo badley to insaan badal jaty hain,
Kya nahi dikhlaatey yeh gardish-e-halaat na pooch,

Wo kisi ka ho b gaya or mujhey khabar na hui,
Kis tarah usny chudaya hai mujh sy haath na pooch,

Is tarah pal main mujhey begana kar diya usny,
Kis tarah apno sy khaai hai main ny maat na pooch,

Ab tera pyaar nahi hai to sanam kuch b nahi,
Kitni mushkil sy bani thi dil ki kayenaat na pooch.

9:10 AM

Is raat ki......tanhaeeyo kee

Posted by Lubna |
Is raat ki......tanhaeeyo kee
sub rang badal gaye hain

chand nikla hai wassay he
andhera badal gaya ai


jinke bharo se thi khusiyan
who bagal gaye hain

manzile to abb bhi who he hain
kuch rashtay badal gaye hain

jinpe kiya tha baharosa humnay
who dost bicharr gayee hain

dakhe they kabhi jo humne
who kahwab badal gaye hain

jo banay thay kabhi humsafar
ajj who he mukarr gaye hain

is tutay huye dil kay saray........
jazbaat badal gaye hain

NA badlay kabhi hum
na badle humaray khayal

Bas rona hai yahi
kuch log badal gaye hain..............!
10:02 AM

Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi

Posted by pinky |
Tasveer Teri Dil Mera Behla Na Sakegi
Ye Teri Tarah Mujhse To SharMa Na Sakegi

Main Baat Karunga To Ye KhaMosh Rahegi
Sine Se Laga Lunga To Ye Kuch Na Kahegi
ArMaan Wo Kya Degi Jo Tadpa Na Sakegi

Ye Ankhein Hain Thehri Hui Chanchal Wo Nigahein
Ye Haath Hein SehMe Hai Aur Mast Wo Baahein
Parchhayi To Insaan Ke KaaM Aa Na Sakegi

In Honthon Ko Main Kuch De Na Sakoonga
Is Zulf Ko Main Haath Mein Bhi Le Na Sakoonga
Uljhi Hui Raton Ko Ye Suljha Na Sakegi...


3:47 AM

Ye Rat Ye Tanhai

Posted by Lubna |
Ye Rat Ye Tanhai
Ye Dil K Dharakne Ki Awaz
Ye Sannata

Ye Dubte Taron Ki
Khamosh Gazalkhwani
Ye Waqt Ki Palkon Par
Soti Hui Wirani

Jazbat-E-Muhabbat Ki
Ye Akhri Angrai
Bajti Hui Har Janib
Ye Maut Ki Shahnai
Sab Tum Ko Bulate Hain
Pal Bhar Ko Tum A Jao

Band Hoti Meri Ankhon Main
Muhabbat Ka
Ik Khwab Saja Jao
4:12 AM

Apnay Bister Per Bohat Der Se Main Neem Daraz

Posted by Lubna |
Apnay Bister Per Bohat Der Se Main Neem Daraz
Sochti Hon K Is Waqt Who Kahan Ho Ga

Mai Yahan Hon Magar Is Koocha-E-Rango-Bo Main
Roz Ki Tarah Who Aaj Bhi Aya Ho Ga

Aur Jub Us Nai Wahan Mujh Ko Na Paya Ho Ga
Aap Ko Maloom Hai Who Aaj Nahi Ayi Hain

Meri Her Dost Se Us Nai Yehi Poocha Ho Ga
Chalte Chalet Koi Manoos Si Ahat Pa Ker

Dosto Ko Bhi Kisi Uzr Se Roka Ho Ga
Rahdari Mai Haray Lawn Main Phoolon K Qareeb

Us Nai Her Simt Mujhay Aan Kar Dhoonda Ho Ga
Jub Mili Ho Gi Use Meri Halat Ki Khabar

Us Ne Ahista Se Deewar Ko Thama Ho Ga
Yad Kar K Mujhay Nam Ho Gain Hon Gi Palkain

Ankh Main Par Gaya Kuch! Keh Kar Tala Ho Ga
Or Ghabra Kar Kitabon Main Jo Li Ho Gi Panah

Her Sitr Main Mera Chehra Ubher Aya Ho Ga
Ittefaqan Mujhay Us Sham Meri Dost Mili

Mai Nai Poocha Suno Aye Thay Who Kaisay Thay?
Mujhay Poocha Tha?Mujhay Dekha Tha, Choro Janab!

Us Nai Aik Lamhe Ko Dekha Mujhay Or Hans Di
Is Hansi Main Tu Who Talkhi Thi K Is Se Agay

Kia Kaha Us Nai Mujhay Yad Nahi Bus
Bus Itna Maloom Hai K
KHOABOON KA BHARAM TOOT GAYA!!
4:01 AM

Ab Bin Huye Madhosh Meri Koyin Raat Dhalti Nahi

Posted by Lubna |
Teri Yaadon Ke Charagon Se Shammaye Jalti Nahi
Ab Bin Huye Madhosh Meri Koyin Raat Dhalti Nahi

Har Shaam Tera Anchal Bulane Lagata Hai Mujhe
Tere Ghar Ki Koiyin Raah Mere Dar Se Nikalti Nahi

Bewafa Tune Mujhe Chor Diya Maikashi Ki Rah Par
Bin Tera Naam Liye Magar Saans Meri Chalti Nahi
Humne Ki Kayin Tarmeen Zindagi Mein Gaur Talab
Jaane Kyun Maikhari Ki Ek Yeh Aadat Badalti Nahi

Dasti Thi Tanhai Mujhe Har Paher Har Pal Hi Mujhe
Ab Na Kisi Ki Bhi Gair Maujudgii Mujhe Khalti Nahi

Nashen Ne Meri Nigahon Mein Aisa Asar Kar Dala
Koi Kwahish Koi Khushfahmi Nazar Mein
Ankhon Ankhon Mein Guzri Hai Yeh Raat
Abhi Bhi Shayad Adhuri Hai Ankhon Ki Baat

Subha Tak Ka Safar Kuch Yu Teh Kiya Humne
Bina Chuye Ek Dujhe Ke Sath Kati Hai Yeh Raat

Thama Hai Ek Dujhe Ko Apni Adaon Se Humne
Bina Kuch Bole Khamoshi Tordi Hai Sari Raat

Yeh Jismani Milan Nahi Roohani Mel Hua Hai
Sath Reh Kar Ek Dujhe Ko Apna Ehsas Diya Hai

Na Atta Hai,Na Kabhi Ayega Guzra Hua Lamha
Tann Ko Nahi Mann Ko Paya Hai Humne Sari Raat

Talab Na Mitt Payi Tere Deedar Se dil Ki
Chahe Ek Nazar Dekhta Raha Teri Surat Sari Raat

Ankhon Ankhon Mein Guzri Hai Yeh Raat
Abhi Bhi Shayad Adhuri Hai Ankhon Ki Baat…!!!

Poetry PicS



Pathron Ko Dil Ka Haal Sunane Chali Hun,
Roothi Hui Kismat Ko Manane Chali Hun,
Nakam Hasrato Ka Janaza Uthaye Hue,
Mein Unse Wafa Nibhane Chali Hun,
Woh Bewafa Na The,Main Badnaseeb Thi,
Ye Baat Zamane Ko Batane Chali Hun,
Sawan Ki Ghataon Tum Kal Umadna,
Aaj To Main Aansu Bahane Chali Hun,
Jaha Banaya Tha Maine Kai Aashiyana,
Aaj Usi Shaakh Ko Jalane Chali Hun,
Meri Shayri Kisi Ka Dil Na Dukha De,
Isliye Tanhaayi Ko Apni Gazal Sunane Chali Hun.
11:22 AM

Ajab Paghal si larki hay

Posted by pinky |
11:20 AM

Arzoo-e-Dil

Posted by pinky |
11:19 AM

us ka rona to banta tha

Posted by pinky |
11:17 AM

ajj gumgeen nahi heraan hain hum

Posted by pinky |
11:15 AM

Aaj bhi tapti dhoop

Posted by pinky |


12:56 AM

Muhabat ke Anokhay thy sabhi andaaz

Posted by pinky |


12:44 AM

sekhata hay

Posted by pinky |

10:46 AM

main ajj bhi jee skti hon

Posted by sono |
10:15 AM

kiya kron ab

Posted by sono |
10:37 AM

Mohabbat

Posted by naqshi |


Judai

Poetry parveen shakir

hamaare daramiyaa


hamaare daramiyaa.N aisaa ko_ii rishtaa nahii.n thaa
tere shaano.n pe ko_ii chhat nahii.n thii
mere zimme ko_ii aa.Ngan nahii.n thaa
ko_ii vaadaa terii zanjiir-e-paa banane nahii.n paayaa
kisii iqaraar ne merii kalaa_ii ko nahii.n thaamaa
havaa-e-dasht kii maanind
tuu aazaad thaa
raaste terii marzii ke tabe the
mujhe bhii apanii tanhaa_ii pe
dekhaa jaaye to
puuraa tasarruf thaa
magar jab aaj tuu ne
raastaa badalaa
to kuchh aisaa lagaa mujh ko
ke jaise tuu ne mujh se bevafaa_ii kii

apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N
ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.N

niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.N
aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.N

shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii
bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.N

sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.N
ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.N

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.N

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.N

mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.N

tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.N


3:28 AM

dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii

Posted by Lubna |

dasht-e-shab par dikhaa_ii kyaa dengii
silavaTe.n roshanii me.n ubharengii

ghar kii diivaare.n mere jaane par
apanii tanhaa_iyo.n ko sochengii

u.Ngaliyo.n ko taraash duu.N phir bhii
aadatan us kaa naam likkhengii

rang-o-buu se kahii.n panaah nahii.n
Khvaahishe.n bhii kahaa.N amaa.N dengii

ek Khushbuu se bach bhii jaa_uu.N agar
duusarii nikahate.n jaka.D lengii

khi.Dakiyo.n par dabiiz parde ho.n
baarishe.n phir bhii dastake.n dengii
3:25 AM

cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii

Posted by Lubna |

cheharaa meraa thaa nigaahe.n us kii
Khaamushii me.n bhii vo baate.n us kii

mere chehare pe Gazal likhatii ga_ii.n
sher kahatii hu_ii aa.Nkhe.n us kii

shoKh lamho.n kaa pataa dene lagii.n
tez hotii hu_ii saa.Nse.n us kii

aise mausam bhii guzaare ham ne
subahe.n jab apanii thii.n shaame.n us kii

dhyaan me.n us ke ye aalam thaa kabhii
aa.Nkh mahataab kii yaade.n us kii

faisalaa mauj-e-havaa ne likkhaa
aa.Ndhiyaa.N merii bahaare.n us kii

niind is soch se TuuTii aksar
kis tarah kaTatii hai.n raate.n us kii

duur rah kar bhii sadaa rahatii hai
mujh ko thaame hue baahe.n us kii

baarish hu_ii to phuulo.n ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bhiig ke saffaak ho gaye

baadal ko kyaa Khabar ki baarish kii chaah me.n
kitane buland-o-baalaa shajar Khaak ho gaye

juganuu ko din ke vaqt paka.Dane kii zid kare.n
bachche hamaare ahad ke chaalaak ho gaye


laharaa rahii hai barf kii chaadar haTaa ke ghaas
suuraj kii shah pe tinake bhii bebaak ho gaye

suuraj dimaaG log bhii iblaaG-e-fikr me.n
zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye

jab bhii Gariib-e-shahar se kuchh guftaguu hu_ii
lahaje havaa-e-shaam ke nam_naak ho gaye

saahil pe jitane aab_guziidaa the sab ke sab
dariyaa ke ruKh badalate hii tairaak ho gaye

baad_baa.N khulane se pahale kaa ishaaraa dekhanaa
mai.n samandar dekhatii huu.N tum kinaaraa dekhanaa

yuu.N bichha.Danaa bhii bahut aasaa.N na thaa us se magar
jaate jaate us kaa vo mu.D ke dubaaraa dekhanaa

kis shabaahat ko liye aayaa hai daravaaze pe chaa.Nd
ai shab-e-hijraa.N zaraa apanaa sitaaraa dekhanaa

[shabaahat=form; shab-e-hijraa.N=night of separation]

aa_iine kii aa.Nkh hii kuchh kam na thii mere liye
jaane ab kyaa kyaa dikhaayegaa tumhaaraa dekhanaa
apanii rusavaa_ii tere naam ka charchaa dekhuu.N
ek zaraa sher kahuu.N aur mai.n kyaa kyaa dekhuu.N

niind aa jaaye to kyaa mahafile.n barpaa dekhuu.N
aa.Nkh khul jaaye to tanhaa_ii kaa sahara dekhuu.N

shaam bhii ho ga_ii dhundhalaa ga_ii aa.Nkhe.n bhii merii
bhuulanevaale mai.n kab tak teraa rastaa dekhuu.N

sab zide.n us kii mai.n puurii karuu.N har baat sunuu.N
ek bachche kii tarah se use ha.Nstaa dekhuu.N

mujh pe chhaa jaaye vo barasaat kii Khushbuu kii tarah
ang ang apanaa usii rut me.n mahakataa dekhuu.N

tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
jii me.n aataa hai ko_ii aur bhii tujh saa dekhuu.N

mai.n ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khvaab ban kar terii aa.Nkho.n me.n utarataa dekhuu.N

tuu meraa kuchh nahii.n lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.N
6:00 AM

Parveen Shakir

Posted by naqshi |

6:17 AM

parveen shakir sher

Posted by sono |
6:14 AM

Surakh Anchal

Posted by sono |
6:10 AM

kisi Ki khooj main phir kho giya kon

Posted by sono |

6:05 AM

Teri Khashoo ka Pata karti hay

Posted by sono |