Saturday 12 March 2011

Poetry Beeti Yaadein

Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad

 

Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad, Chale Aana,
Bhool Jana Apni Kahi Har Baat, Chale Aana,

Judayi Ka Wo Lamha Aur Wo Manzar Dhalte Suraj Ka,
Yaad Tumko Jab Aane Lage Wo Shaam, Chale Aana,

Bhool Jao Tum Agar Manzil Kabhi Apni,
Uthana Apne Kadam Phir Meri Taraf Chale Aana,

Hadd Se Guzar Jaaye Jab Mera Zabt-E-Ghum,
Aur Main Pukarun Tumko Baar Baar, Chale Aana,

Uske Bin Jeene Ka Ab Tasavvur Nahi Mujhe,
Meri Maut Ka Gar Tumko Mile Payaam Chale Aana...
6:08 AM

Raah Aasaan Ho Gayi Hogi

Posted by pinky |
Raah Aasaan Ho Gayi Hogi,
Jaan Pehchan Ho Gayi Hogi,

Phir Palat Kar Nigaah Nahi Aayi,
Tujhpe Qurbaan Ho Gayi Hogi,

Teri Zulfon Ko Chhedti Hai Saba,
Khud Pareshan Ho Gayi Hogi,

Maut Se Tere Dard Mandon Ki,
Mushkil Aasaan Ho Gayi Hogi,

Unse Bhi Chhin Loge Yaad Apni,
Jinka IMaan Ho Gayi Hogi,

Dil Ki Takeen Puchhte Hai Aap,
Haan Meri Jaan Ho Gayi Hogi...
6:01 AM

Ye Bhi Nahi BeeMar Na The

Posted by pinky |
Ye Bhi Nahi BeeMar Na The,
Itne Junoon Aasaar Na The,

Logonka Kya Zikr Karein,
HuM Bhi KaM Ayaar Na The,

Ghar Mein Aur Bahut Kuch Tha,
Sirf Dar-O-Deewar Na The,

Sab Par Hansa Sheva Tha,
Jab Tak Khud Us Par Na The,

Teri Khabar Mil Jaati Thi,
Sheher Mein Jab Akbaar Na The,

Pehle Bhi Sab Kuch Bikta Tha,
Khwabon Ke Bazaar Na The,

Maut Ki Baatein Pyaari Thi,
Marne Ko Taiyaar Na The...
5:47 AM

Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha

Posted by pinky |
Mohabbat Rog Hoti Hai Kaha Bhi Tha,
Rula Kar Khud Bhi Roti Hai Kaha Bhi Tha,

Kinaare Ke Kareeb Le Jaa Kar,
Ye Kashti Ko Duboti Hai Kaha Bhi Tha,

Ise TuM Dilki Dharti Ka Pata Mat Do,
Ye Is Mein Dard Boti Hai Kaha Bhi Tha,

Mohabbat Mein Khushi Ke Baad GaM Ki Rutt,
Bahut Nazdeek Hoti Hai Kaha Bhi Tha,

Loota Kar Dilko, Rone Se Bhi Kya Haasil,
Bahut Nayaab Moti Hai Kaha Bhi Tha,

Azal Se Iski Fitrat Hai ZaMane Ko,
Jaga Kar Khud Ye Soti Hai Kaha Bhi Tha,

Ye Sar Se Paanv Tak Pas Raakh Kar Degi,
Bahut Bedard Hoti Hai Kaha Bhi Tha...


11:34 AM

Kahin Aisa Na Ho DaaMan Jala Lo

Posted by Lubna |
Kahin Aisa Na Ho DaaMan Jala Lo,
HaMare Aansuon Par Khaak Daalo,

Manana Hi Zaroori Hai To Phir TuM,
HaMein Sab Se Khafa Hokar Mana Lo,

Bahut Royi Hui Lagti Hai Aankhein,
Meri Khaatir Zara Kaajal Laga Lo,

Akelepan Se Khauf Aata Hai Mujhko,
Kahan Ho Aye Mere Khwabon Khayalon,

Bahut Mayoos Baitha Hoon Main TuMse,
Kabhi Aakar Mujhe Hairat Mein Daalo...
11:07 AM

Ab Unki Yaad Bhi Nahi Wajah Sukoon-E-Dil

Posted by Lubna |
Ab Unki Yaad Bhi Nahi Wajah Sukoon-E-Dil,
Layi Kahan Ye Halat ShaaM-O-Seher Mujhe,

Aye Dost Tere DaM Se Khizaan Bhi Bahar Thi,
Ab MausaM Bahar Hai Baad Nazar Mujhe,

Apne Par Kar Raha Hoon GuMaan Teri Zaat Ka,
Le Aayi Bekhudi Ye Kahan Khich Kar Mujhe,

Aye SANAM Kuch Dino Se Ajab Hai Ye Maajra,
Har Shay Mein Koi Aata Hai Aksar Nazar Mujhe...
Main Wohi Hoon Jisse TuM Pyaar Kiya Karte The,
Din Mein Sau Baar Mera NaaM Liya Karte The,

Kya Baat Hai Kyon Mujhse Khafa Baithe Ho,
Kya Kisi Aur Ko Dil Apna De Baithe Ho,

Faasle To Pehle Na Hua Karte The AnMol,
Main Woh Hoon Jispe TuM Aitbaar Kiya Karte The,

Mujhko MaluM Hai GaM Hai Koi Saugaat Nahi,
TuM Mujhe Apna Kaho Aise Bhi Halaat Nahi,

Aur Agar Bhool Gaye Ho To Koi Baat Nahi,
ZakhM To Pehle Bhi Is Dilpe Laga Karte The,

Main Wohi Hoon Jise TuM Pyaar Kiya Karte The,
Din Mein Sau Bar Mera NaaM Liya Karte The...
10:55 AM

Raaz-E-Dil AaM Kar Gaye Aansu

Posted by Lubna |
Raaz-E-Dil AaM Kar Gaye Aansu,
GaM Ko BadnaaM Kar Gaye Aansu,

Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya,
Aaj To KaaM Kar Gaye Aansu,

Log Phoolon Ke Sath Pahuche The,
Aur HuM ThaaM Kar Gaye Aansu,

HuM Kisike Na The Magar HuMko,
Aap Ke NaaM Kar Gaye Aansu,

Har Kisi Ne Lagaya DaaM,
GaM Ko NilaaM Kar Gaye Aansu,

Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein,
Har Taraf ShaaM Kar Gaye Aansu,

Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha,
Aur Kuch KaaM Kar Gaye Aansu,

Shayri Sirf Shayri Thi,
Usko IlhaaM Kar Gaye Aansu...
9:51 AM

Kaam-Kaj aur Mizaaj kaisa hai

Posted by pinky |
Kaam-Kaj aur Mizaaj kaisa hai
Kal to Kal tha, Btao Aaj kaisa hai

Hamarey Shehr mein hen Mohabat ke Dushman
Tumaharey Shehr mein Btao Rivaaj kaisa hai

Os ki Awaz sun lon to hai Sakoon-e-Dil
Meray Gham ka Dekho, Elaaj Kaisa hai

Os ki Baten Bhool sakta nhi Kabhi
"Khaawar" teri Awaz ka Mohtaaj Kaisa hai


9:42 AM

Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay

Posted by pinky |
Jab Teri Dhunn Mein Jiya Kartey Thay..!!
Hum Bhi Chup Chaap Phira Kartey Thay..!!

Aankh Mein Piyaas Howa Karti Thi..!!
Dil Mein Tofaan Utha Kartey Thay...!!

Logg Aatey Thay Ghazal Sunney Ko..!!
Hum Terii Bhaat Kiya Kartey Thay ..!!

Sach Samajtey Thay Teray Wadoon Ko..!!
Raat Din Ghar Mein Raha Kartey Thay...!!

Kisi Veeranay Mein Tujsey Milkar..!!
Dil Mein Kiaa Phool Khila Kartey Thay..!!

Ghar Ki Dewaar Sajanay Kay Leye..!!
Hum Teraa Naam Likha Kartey Thay..!!

Woh Bhi Din Thay Bhulaa Kay Tujeko..!!
Hum Tujey Yaad Kiya Kartey Thay..!!

Jab Teray Dard mein Dil Dhukta Tha...!!
Hum Teray Haq Mein Dua Kartey Thay...!!

Bujnay Lagta Jo Chehra Tera..!!
Daagh Seenay Mein Jala Kartey Thay..!!

Apnay Jazboon Ki Kamn'don Say Tujey..!!
Hum Bhi Taskheer Kiya Kartey Thay..!!

Apnay Aansoo Bhi Sitaroon Ki Tarah..!!
Teray Hontoon Pay Saja Kartey Thay..!!

Chairta Tha Ghum-e-Duniya Jab Bhi..!!
Hum Teray Ghum Say Gilla Kartey Thay..!!

Kal Tujey Dekh kay Yaad Aya Hay..!!
Hum Sukh'noor Bhi Howa Kartey Thay...!!

9:39 AM

Kuch yaad e nishani de ja

Posted by pinky |
Kuch yaad e nishani de ja,
Wo rut mastani de ja,

Tujhe bhool k b na bholuun,
Kuch aesi kahani de ja,

Tere aagan mein jo dhondta hun,
Wo yaad e purani de ja,

Tere aane se loot ai thi jo,
Wo saba suhani de ja,

Teri sanso ka meri sanso se jo,
Wo sanjok e trjumani de ja,

Tere jane se ro sakun,
Wo aankho ka pani de ja..


9:29 AM

haam phir udaas hai

Posted by pinky |
haam phir udaas hai,
Dard dil k paas hai,
Aankh b wiraan hai,
Aor tuti huwi aas hai,
Shaam phir udaas hai,
Bhaphra huwa samandar hai,
Hawa b bay chain hai,
Paaun thandi rait par,
Dil mein lagi aag hai,
Shaam phir udaas hai,
Kahaani bari purani hai,
Bay kaif zindagani hai,
Kis ko batain,
Dil mein teri yaad hai,
Shaam phir udaas hai...

यह जो दोपहर के सन्नाटे में
यमुना के इस निर्जन घाट पर अपने सारे वस्त्र
किनारे रख
मैं घण्टों जल में निहारती हूँ

क्या समझते हो कि मैं
इस भाँति अपने को देखती हूँ?

नहीं मेरे साँवरे!
यमुने के नीले जल में
मेरा यह वेतसलता-सा काँपता तन-बिम्ब, और उस के चारों
ओर साँवली गहराई का अथाह प्रसार, जानते हो
कैसा लगता है -

मानों यह यमुना की साँवली गहराई नहीं है
यह तुम हो जो सारे आवरण दूर कर
मुझे चारों ओर से कण-कण, रोम-रोम
अपने श्यामल प्रगाढ़ अथाह आलिंगन में पोर-पोर
कसे हुए हो!

यह क्या तुम समझते हो
घण्टों – जल में – मैं अपने को निहारती हूँ
नहीं, मेरे साँवरे!


10:46 AM

Tum Mohabbat bhi Mosam Ki Tarha Nibhate Ho

Posted by Lubna |
Tum Mohabbat bhi Mosam Ki Tarha Nibhate Ho,
.
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
.
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
.
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
.
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
.
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
.
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
.
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
.
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
.
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho..
10:30 AM

Kisi ka saath nibhana kamal hota ha

Posted by Lubna |
Kisi ka saath nibhana kamal hota ha,
kisi ko phir se bulana kamal hota ha,
khud apny dard ko har koi jhel leta ha,
kisi ka dard bantna kamal hota ha,
koi pahar girana nahi ha na mumkin,
giray huey ko uthana kamal hota ha,

kisi andhery ko sehna kamal lagta ha,
phir is ma deep jalana kamal hota ha,
bahar rut ma to ugtay hain phool baghu ma,
khizan ma phool ugana kamal hota ha,
kisi ki aankh se dori to zulm ha “”
kisi k dil ma samana kamal hota ha…
10:14 AM

zabt hum say kiya nai jata

Posted by pinky |
zabt hum say kiya nai jata,
aanso`on ko piya nai jata,

is qadar gham milay hamain yaron,
ab khushi main jiya nai jata,

kia sunayein tumhain jafa us ki,
naam jis ka liya nai jata,

main to rota hun ashk behtay nai,
saath un say diya nai jata,

baat koi to hoti hai werna,
zehar hans ker piya nai jata ...


Mujse mat pooch ki kyun aankh jhuka li maine,
teri tasveer thi jo tujhse chupa li maine,
jis pe likha tha ki tu mere muqaddar mein nahi,
apne maathe ki woh tehreer mita li meine,

har janm sabko yahaan sachha pyaar kahaan milta hai,
teri chaahat mein to umr bita li meine,
mujhko jaane kahaan ehsaas mere le jaayein,
waqt ke haathon se ek nazm utha li meine,

ghere rehti hai mujhe ek anokhi khushbu,
teri yaadon se har ek saans saja li meine,
jiske sheron ko woh sunke bahut roya tha,
bas wohi ek ghazal sabse chupa li meine...

4:01 AM

Haalat K Panjon Mein Giriftaar MusalsaL,

Posted by Lubna |
Haalat K Panjon Mein Giriftaar MusalsaL,
Jee Apna Raha Khud Se Bhi Bezaar MusalsaL.

Is Sheher Mein Jub Jub Bhi Koi Jurm Huwa Hai,
Hm Log Hi Thehry Hain Saza Waar MusalsaL.

Jesy Meri Aankhein Hain Roi Hijar Mein Tere,
yuon Roye Na Koi Bhi Mere Yar MusalsaL.

Izhar Mein Hum Ne To Koi Farq Na Chorra,
us Taraf Se Hota Raha Inkaar MusalsaL.

Aey Umar Bata Phir Bhi Tujhe Kesy Guzara?
Khadshaat Se Rehtay Huway Do Chaar MusalsaL
3:52 AM

JAb tera dard mere sath wafa krta hai.

Posted by Lubna |
JAb tera dard mere sath wafa krta hai.
, ek smndr mere ankhon se baha krta hai.
, us ki batain mujhay khusboo ki trha lagti hain. ,
phool jaise koi sehra main khila karta hai. ,
mere us dost ki pehchan yhe kafi hai. ,
wo har shakhs ko danista khafa karta hai. ,
aor to koi sabab us ki mohhabat ka nhe,
baat itni hai k wo mujh se jafa karta hai. ,
jab khizan aye to laot aye ga wo b "",
wo baharon main zara kam hee mila karta hai
3:44 AM

Kuch Waadey, Qasmein, Yaadein Theen,

Posted by Lubna |
Kuch Waadey, Qasmein, Yaadein Theen,

Kuch Qehqahey They, Faryadein Theen,

Kuch Aansoo They Jo Bahaye They,

Kuch Dhokey They Jo Khaye They,

Kuch Lehjon Ki Parchaiyan Theen,

Kuch Dil Ko Rog Lagaye They,

No comments:

Post a Comment