Saturday 12 March 2011

Poetry Bewafai

यह जो दोपहर के सन्नाटे में


यह जो दोपहर के सन्नाटे में
यमुना के इस निर्जन घाट पर अपने सारे वस्त्र
किनारे रख
मैं घण्टों जल में निहारती हूँ

क्या समझते हो कि मैं
इस भाँति अपने को देखती हूँ?

नहीं मेरे साँवरे!
यमुने के नीले जल में
मेरा यह वेतसलता-सा काँपता तन-बिम्ब, और उस के चारों
ओर साँवली गहराई का अथाह प्रसार, जानते हो
कैसा लगता है -

मानों यह यमुना की साँवली गहराई नहीं है
यह तुम हो जो सारे आवरण दूर कर
मुझे चारों ओर से कण-कण, रोम-रोम
अपने श्यामल प्रगाढ़ अथाह आलिंगन में पोर-पोर
कसे हुए हो!

यह क्या तुम समझते हो
घण्टों – जल में – मैं अपने को निहारती हूँ
नहीं, मेरे साँवरे!

Dilne Jab Bhi Fareb Khaya Hai,
Tera Andaz Yaad Aaya Hai,

Ye Bhi Kuch Manzilon Se KaM To Nahi,
Raaston Mein Jo Khoya Paaya Hai,

TuM NuMayish Ke Liye Dikhate Ho Aansuon Ko,
HuMne ZakhMon Ko Bhi Chhupaya Hai,

Koi Marta Nahi Kisike Liye,
HuMne Duniya Ko AazMaya Hai,

WaQt-E-Hizraan Ya Wasl Ho,
HuMne Dono Mein Tujhko Paya Hai...


Kachhi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Girana Mujhko,

TuMko Aankhon Mein Tasavvur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dhadkan Ki Tarah TuM Bhi Basana Mujhko,

Baat Karne Mein Jo Mushkil Ho TuMhe Mehfil Mein,
Main SaMajh Jaunga Nazron Se Batana Mujhko,

Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho,
Khwab Pura Jo Na Ho Wo Na Dikhana Mujhko,

Apne Rishte Ki Nazaakat Ka BharaM Rakh Lena,
Main To AashiQ Hoon Deewana Na Banana Mujhko,

Kachhi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Girana Mujhko...




11:28 AM

Tere Mere Beech Wafa Ka Rishta Hai,

Posted by Lubna |

Tere Mere Beech Wafa Ka Rishta Hai,
Jaise Khushboo Aur Hawa Ka Ristha Hai,

Ke Dooje Ko Toot Ke Chaha Karte Hai,
Lekin Kuch Kuch Sath Aana Ka Rishta Hai,

Ek Dooje Ki Majboori Hai HuM Dono,
Jaise Rangat Aur Heena Ka Rishta Hai,

GaM Se Bhar Kar Dost Nahi Hai Koi Bhi,
Jiska Mere Sath Sada Ka Rishta Hai,

Jo Kuch Mangun Mil Jata Hai LaMhon Mein,
Kaisa Mera Aur Khuda Ka Rishta Hai...
GaM-E-Hayaat Ka Jhagda Mita Raha Hai Koi,
Chale Bhi Aao Ke Duniyase Jaa Raha Hai Koi,

Kaho Ajal Se Zara Do Ghadi Theher Jaye,
Suna Hai Aaneka Wada Nibha Raha Hai Koi,

Wo Aaj Lipte Hai Kis Nazuki Se Laash Ko,
Ke Jaise Roothe Huon Ko Mana Raha Hai Koi,

Kahin Palat Ke Na Aa Jaye Saans Nabzon Mein,
Haseen Hathon Se Mayyat Saja Raha Hai Koi...

BeQarari Si BeQarari Hai,
Din Bhi Bhaari Hai Raat Bhi Bhaari Hai,

Zindagi Ki Bisaat Par Aksar,
Jeeti Baazi HuMne Haari Hai,

Todo Dil Mera ShauQ Se Todo,
Chiz Meri Nahi TuMhari Hai,

Baar-E-Hasti Utha Saka Na Koi,
Ye GaM-E-Dil Jahan Se Bhaari Hai,

Aankh Se Chhupke Dil Mein Baithe Ho,
Haay Kaisi Ye Parda Daari Hai...
h-e-Khaloos me Paida Dushwariyan na ker
Chahat nhi to Ham se Adakaariyan na ker

Lafzo'n sey Khelney ki Zaroorat nhi Tujhey
Saada Dilo'n sey Ye Fankariyan ner ker

Jin sey nhi Mohabat, Unhen Moo be mat laga
Be-Waja her Dukaan sey Kharidariyan na ker

Es Shughal-e-Bejawaz sey kya Faida Tujhey
Dil mat Dukha kisi ka, Dil-Aazaariyaan na ker
Har ek lamha naya ik imtehan hai,
bohut na-meharban yeh aasman hai,

Dilon per barf girti ja rahi hai,
Badan ka tajziya bhi raiga hai,

main us say baat karna chahti hon,
batao to sahi woh ab kahan hai,

Anaa ki rait shamil ho gayai hai,
Hawa say guftugu ab raigan hai,

Mujhey is ka yaqeen hargiz nahi tha,
Meri janib say itna badguman hai…
Us bewafa ka sheher hai aur hum hain dosto
Ashke rawan ki nehar hai aur hum hain dosto

Ye ajnabee si manzilen aur raftigaan ki yaad
Tanhaiyon ka zeher hai aur hum hain dosto

Layi hai ab uda ke gaye mausamo ki baas
Barkha ke rut ka qehar hai aur hum hain dosto

Phirte hain misle mauje hawa shehar shehar me
Awargi ki lehar hai aur hum hain dosto

Shame alam dhali to chali dard ki hawa
Raton ka pichhla pehar hai aur hum hain dosto

Ankhon me ud rhi hai luti mehfilon ki dhool
Ibrat saraye dehar hai aur hum hain dosto

Na Jane Woh Mujhse Kya Chahta Hai
Meri Maut Ya Meri Zindagi Chahta Hai

Baatein Toh Choorhne Ki Karta Hai
Saath Khush Hone Ki Dua Karta Hai

Na Jane Woh Mujhse Kya Chahta Hai
Mere Aansoo Ya Meri Hansi Chahta Hai

Woh Shayed Mujhe Khabi Nahin Samajh Sakta
Ish Liye Har Waqt Mujhse Door Hona Chahta Hai

Keh Do Ush Se Dhuniya Waloon
Woh Meri Zindagi Nahin Maut Chahta Hai

Keh Do Ush Se Jahan Waloon
Woh Meri Khushi Nahin Aansoo Chahta Hai

Youn dil ko her aik shaks pe wara nahi kerte
aankhon main her aik aks ootara nahi kerte

hone hai tu aik baar he ho jaye mohabbat
yeh bhool aise hain k dobara nahi kerte

accha hua main ne he faqat dekha magar youn
mehfil main kise ko bhe iishara nahi kerte

mil jaye sar-e-rah jo bichra hua koi
chup chaap he takte hain phukara nahi kerte

kyon pyaar ki baazi se hawa iss darja gurezan
kehte hain k badal haar ker haara nahi kerte

kajal se bhe ab kaam koi le na sahele!
youn dard se aankhon ko sawara nahi kerte

" Koi Keh Dey MOHABBAT Ke Kharedaaron Se"
"Pyaar Wo Shey Hai Jo Milti Nahi Bazaron Se"

"Hum Tu Pehle Hi MOHABAT Me Jale Bethe Hein"
"Kyun Daratey Ho Tum Dehkte Hoye Angaron Se"

"Aaj Bhi Unn se Mulakaat Na Ho Payi Toh Phir"
"Jaan Dey Dein gey Sar Phorr K Deewaron Se"

"Koi Pochey Bhi Toh Hum Biyan Nahi Ker Sakte"
"Is Tarah Bichrey Hein Hum Jan Se Pyaron Se"

"Kya Sila Milta Hai Iss Duniya Me Wafaon Ka"
'Kaash Pochey Koi Hum Jaise Gunahgaron Se"



Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hay.
Wo such kahey na kahey aitbaar karna hay.

Ye tuj ko jagte rehne ka shauq kab say hua.
Mujhey toh khair teraa intezaar karnaa hay.

Hawa ki zad mai jalane hain anso-on k chiragh.
Kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hay.

Wo muskura k nayee waswason mai daal gia.
Khayaal tha keh ussay sharm-saar karna hay.

Misal-e-shakh-e-barhna khizan ki rut mai kabi.
Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hay.

Tairay firaaq main din kis tarhan kattey apnay.
Ke shugal-e-shab to sitaarey shumar karna hay.

Chaloo ye askh hi moti samajh kar baich ayeen.
Kissi tarhaan toh hummein roozgaar karnaa hay.

Kabhi to dil mai chupay zakham bi numayan hon.
Qaba samajh kay badan taaar taaar karnaa hay.

Khuda khabar yeh koi zidd keh shauq hai "Dil".
Khud apni jaan kay dushman say pyaar karna hay.

Mujhey darya nahi likhna,mujhey sehra nahi likhna
Tasallsul se safar main hoon, mujhey thehra nahi likhna

Purani rabton ki raakh ab tak dil main baqi hai
Meri jalti hatheli par naya wada nahi likhna

Ana se jeet kar usko agar jo mainey khoya hai
Mera noha nahi likhna mera naghma nahi likhna

Bisat-e-zindagi ki aakhiri sarhad pe khara hoon
Mujhey fateh nahi likhna mujhey mohra nahi likhna

Tumhari aankh main agar main kabhi chup chaap jal jaow
Tum apni aankhon main laiken mera sadma nahi likhna

Gawahi apnay dil se lo tumhara dil kiya kehta hai
Mujhey jhoota nahi likhna mujhey sacha nahi likhna

May uski yaad may gum hoon ke apne aap may gum hoon
Mujhey mehfil nahi likhna mujhey tanha nahi likhna

May apney lafzoon se shohrat tumhey de jaonga ik din
Mujhey mashhoor na karna mera charcha nahi likhna

Ye na ho tum kabhi us ko mitaa na chaho..na mittay
Mujhey apna samajh lena magar apna nahi likhna

Meri aankhon may baatein hay magar chehray pe gehri chup
Meri aankhein to likh dena mera chehra nahi likhna

Kahin aisa na ho meri kasak us dil main reh jaye
Mera dukh dard likh dena magar gehra nahi likhna
Maine poocha kaise ho
Badley ho ya waise ho

Roop wohi, andaaz wohi
Ya phir is mein koi kami

Hijr ka kuch ehsaas to hoga
Koi tumharey paas to hoga

Ham bichre ye majboori thi
Kab manzoor mujhey doori thi

saath hamaara kab chhuta hai
Rooh ka rishta kab toota hai


Aankh se jo aansu behtey hain
Tum ko khabar hai kya kehtey hain

Maine kaha aawaz tumhaari
Aaj bhi hai humraaz hamaari

Phool wafa ke khil jaayenge

Ek din phir ham mil jaayenge

Aaj Dulhan Ke Laal Jode Mein,
Use Uski Saheliyon Ne Sajaya Hoga…
Meri Jaan Ke Gore Haathon Per
Sakhiyon Ne Mehndi Ko Lagaya Hoga…
Bahut Gehra Chadega Mehndi Ka Rang,
Us Mehndi Mein Usne Mera Naam Chupaya Hoga…
Reh Reh Ker Ro Padegi
Jab Jab Usko Khayal Mera Aaya Hoga…
Khud Ko Dekhgi Jab Aaine Mein,
To Aks Usko Mera Bhi Nazar Aaya Hoga…
Lag Rahi Hogi Balaa Si Sunder Woh,
Aaj Dekh Ker Usko Chaand Bhi Sharmaya Hoga…
Aaj Meri Jaan Ne
Apne Maa Baap Ki Izzat Ko Bachaya Hoga…
Usne Beti Hone Ka
Doston Aaj Har Farz Nibhaya Hoga…
Majboor Hogi Woh Sabse Jyada,
Sochta Hoon Kis Tarah Usne Khud Ko Samjhaya Hoga…
Apne Haathon Se Usne
Hamare Prem Ke Khaton Ko Jalaya Hoga…
Khud Ko Majboot Bana Ker Usne
Apne Dil Se Meri Yaadon Ko Mitaya Hoga…
Toot Jaayegi Tasveer Meri,
Jab Uski Maa Ne Tasveer Ko Table Se Hataya Hoga…
Ho Jaayenge Laal Mehndi Waale Haath,
Jab Un Kaanch Ke Tukdon Ko Usne Uthaya Hoga…
Bhooki Hogi Woh Jaanta Hoon Mein,
Kuch Na Us Pagli Ne Mere Bageir Khaya Hoga…
Kaise Sambhala Hoga Khudko
Jab Use Fairon Ke Liye Bulaya Hoga…
Kaampta Hoga Jism Uska,
Haule Se Pandit Ne Haath Uska Kissi Or Ko Pakdaya Hoga…
Mein To Majboor Hoon Pata Hai Use,
Aaj Khud Ko Bhi Bebas Sa Usne Paaya Hoga…
Ro Ro Ke Bura Haal Ho Jaayega Uska,
Jab Waqt Uski Vidayi Ka Aaya Hoga…
Bade Pyaar Se Meri Jaan Ko
Maa Baap Ne Doli Mein Bithaya Hoga…
Ro Padegi Aatma Bhi
Dil Bhi Cheekha Or Chilaya Hoga…
Aaj Apne Maa Baap Ke Liye
Usne Gala Apni Khushiyon Ka Dabaya Hoga…
Reh Na Paayegi Juda Hoker Mujhse
Darr Hai Ki Zehar Chupke Se Usne Khaya Hoga…
Doli Mein Baithi Ik Zinda Laash Ko
Char Kandho Per Kaharon Ne Uthaya Hoga…


wo jise samajhta tha zindagi
meri dharkanoo ka fareb tha

muje muskurana sikha k wo
meri rooh tak ko jala gaya
wo k jis ko paney ki chah
me kabhi khilta gulab tha
meri pati pati bikhar gaye
muje aisi thokar laga gaya
ajib shaks tha wo aa zindagi
jise samaj k bhi na samaj saka

muje chahta bhi ghazab ka tha
muje chor kar bhi chala gaya..




**RAAT KA AKHRI PEHAR THA**

Mujh se chand ne kaha..........!
Hamnasheen Alvida...
Mujh ko neend arahi hey,
Kal milenge isi jagah,sunn kar me Muskura di,uss ko batla diya,
Jaaney wale lot'tey nahin,
Tum nahin aoge,
Mujhey he yaqeen,

Meri bat sunn kar wo ruk gaya...

Or kehney laga...!
Tum se wadda karun,
Phir pura na karun,
Aesa mumkin nahin,
Sunn......;hamnasheen
Mein insaan nahin

**ME KOI INSAAN TO NAHIN........!**


sab se chhup kar woh kisi ka dekhna achcha laga

surmaee aankhon k neechay phool se khilnay lagay
kehtay kehtay kisi ka sochna achcha laga

baat to kuch bhi nahi thi lekin uska aik dumm
haath ko honton pe rakh kar rokna achcha laga

chaaye mein cheeni milana us gharee bhaaya buhat
zer-e-lub woh muskurata "Shukriya" achcha laga

dil mein kitnay ehad bandhay thay bhulanay k usay
woh mila to sab iraday torna achcha laga

us adoye jaan ko Amjad main bura kaisay kahon
jab bhi aya samnay woh bay wafa achcha laga

No comments:

Post a Comment